مساحة إعلانية
sareer ho dil mein dafan
dastaan e urooj pe sune hum
bina zubaano ki qalb ki darak
nakam e isshq ho chahe phr moth
zinda lash me na raha koi farak
thats a true
jab paisa na jeb me banda hi garak
qismat me 10 yaha 100 ki talab
...
mubtala me chao dhondo lekin dukht ho mujse dur
jab milna hai kakh me toh phr kis baat ka raha gamand guroor
zubaan ho gandi bande ki fark nahi tarbyat hai sara qusoor
maa k pero talle jannat hai tabhi toh qidmat se milti sukoon
kabil e izzat namaz e ishq sajdo me hamd e khuda ho
mehnat kre lekin mehnat k bawajood qismat bhi humse juda go
hum parte jaa rahe hai zindagi jese fasane hai
likhte jarahe panne bharte jarahe
ab naam ke dx wojood k dewane hai
mubtala khud hi khud me rap ki josh me mubtala
jo sath na the un sath ko sath me karke sab bhola
hato me zangeere phr bhi likhne se hum kabi dare nahi ruke nahi
raste hazar hai pane k lekin dil me ho khof e khuda
dunya farebi Or na Pe Jabar jab baap ki qadar nahi
bebasi zindagi aur neki pe ajar nahi logo me sabar nahi
ishq ki moth toh majnu ki qabar naahi
bukh se mara koi toh kisi ko kabar nahi
sajde khuda ko or namaz me amal nahi
sab kuch hai pass pr rab ki fazal nahi
kiya
ye haqeeqat hai jhoto lafzo ki mo boli qeemat hai
dil e zandaan kisi kwahish ki talab nahi
jitni milegi toh utni hi qismat hai
rasto ki kami nahi takleefo k bina Zindagi kuch sikhati nahi
ek kadam aage or ek qadam piche ab manzil e rasta dikhati nahi
mubtala khud hi khud me rap ki josh me mubtala
jo sath na the un sath ko sath me karke sab bhola
hato me zangeere phr bhi likhne se hum kabi dare nahi ruke nahi
raste hazar hai pane k lekin dil me ho khof e khuda
التعليقات